Sunday, August 22, 2010

Zakhm

Zakhm Hara hai
Aur Gehra Hai
Andhera hai, Sadiyan Beetin
Nahi Bhara hai

Waqt Ka Nashtar Jaise Chadar
Audhe puri umr Barabar
Qad Ko Apne Sir se uper
Meri Janib Dekh Raha Hai

Bol Raha hai Mujhko Kuredo!
Bol Raha hai Mujhko Dekho!
Muh Mujhse Yun na Maudo

Aur Kehta hai Ki Mei Woh Sach hun
Jo Dikhlata hai Aaaina
Aur kehta hai mujhse
Ki Duiya mei har cheez khushi
Aur na he sab kuch hara bhara hai

Yeh Sikhlata hai chalna
Aur ladna sabko halaat se
Jahan lagata hai thokar yeh
Wahin woh Seekh ek nayi deta hai

Jahan Giraye humko chalte yeh
Phir uthne ki bhi toh himmat deta hai
Kehta hai yeh Cheekh cheekh ke

Nahi ruko bas chalte jao
Nahi badhe gar girne ke darr se
Bheed mei Milke kho jaoge
Dhunde Duniya tumko Chhodo
Khud ko bhi na Dhund Paoge!


One up Always for learning! be it your failures! or the saddest day of your life!

No comments: