Wednesday, April 13, 2011

Pappu , Raju, Guddu aur Bablu

Corruption kya hai, kya sirf yeh politicians tak he apne apko limit kare hue hai..? ya mehez bureaucrats he is se beemar hain? iska jawab aap, hum sab jante hai, kisi se poochne ki zarurat nahi, shayad bilkul bhi nahi, yeh baat badi chhoti si hai lekin kafi gehrayi tak khud ko dooba hua paoge agar zara dhyan deke socho, aur qasam khao jab khud samajh aa jaye toh apni aane wali generation ko bataoge ki galat kya hai aur sahi kya..!




Yeh insani fitrat hai ki usko aaraam pura chahiye chhahe woh koi bhi hasti rakhta hai, kyunki woh waqt ki tezi ki wajah se daudta bhagta rehta hai aur thak jata hai, apne ghar jata hai, aur araam chahta hai, ghar se bahar uski haisiyat chahe jo bhi ho uska koi bada naaam ya pehchan na ho lekin woh khud apne ghar ka baadshah hota hai, usko apne ghar mei uski khud ki marzi chalti hai,woh kisi qeeemat pe yeh toh bardasht karega nahi ki koi ghar ke bahar se aaye aur use yeh bataye ki usko ghar mei kaise rehna hai..bilkul bhi nahi.!



Ghar tak aa he gaye ho toh zara aas paas nazar dal ke dekh lo.. ghar mei 2 room hain.. usme ek refrigirator, ek TV, kitchen mei ek chhota sa exhaust fan, ek heater (Power Wala) ek CFL, aur ek room mei AC laga hua hai, lekin AC ka cable meter se connected nahi hai, hain bhai??? are kyun? kyunki Bijli ka bill zyada aayega toh kya hoga??afford nahi kar sakte bhai!! lekin AC toh chalna zaruri hai ab kya karein, itna kyun sochte ho "Lallu" chhodo mahine ke aakhir mei jab Vidyut board ka koi bashinda aayega toh nipat lenge.. woh aasaaan hai.Dimaag ka dahi karke raaaita na phelao bhai!! "Aur apne matlab se matlab rakho!!!"



Thak gaye the subah aankh khuli nahi , dekha ghadi mei toh 9 baj gya , Dhyan aaya are "pappu" ka Passport banwana hai... O le ab kya karein, jaise taise bhagam daudi karke, ulte seedhe pohonch gaye passport office!! Kya maajra hai itni bheed kyun hai bhai??are kisis ki shadi hai kya??"Bhai yeh lambi line hai passport form jama karne ki.. !!



"Lo kar lo Baat" phir se latak gaye kya karein?? Waqt toh kaafi kam hai aur ruk he nahi raha aur kaam itna !!Chinta na kar, aas paas dhoond aaasani khud dikh jayegi...! Han "bablu" mil gya khud ba khud... Pure 1000 Rs diye use baqi kam khud ho jayega jayega shukr hai, ab toh lgne laga hai "Pappu hamara " jald he vilayat jayega! :O)!



Guddu bhaiya bade khush hain! ghar wapas ane ki tayyari kari, aur lad liye Gareeb rikhshaw wale se, aur dauda liya use jab usne 5 Rs zyada mang Liye..khair aaj khushi ka din hai, pappu ka passport ban jayega aur pappu vilayat jayega..!



Guudu bhaiya badi help kare apne mohalle walon ki , naye naye tareeqe hain inke paas tax bachane ke.. aur bijli ke paise bachane ke.. ban gaye yeh wikhyat aur election mei khade ho gaye ab toh.. woh bhi nigam parishad yani muncipality ke member ho jayenge.. aur bhagya ka likha kaun mitata hai.. bhai aaaj yeh toh corporator hain.. yehi haal raha toh ban jayenge MLA aur MP..



Pundit ji ne sach he kaha tha.. 3 saal lage Guddu bhaiya ab toh MLA bane aur ban Gaye MP, ab toh pappu bhi wilayat nahi gya bhai yahi apni ek passport banwane ki agency hai aur yehin wilayat bana dala..



Yehi Kahani hai humari, yeh politicians kaun hain? hum mein se he hain.. humare chune hue banaye hue..ab agar kuch kama dhama lete hain toh inki kya galati, aur yeh toh in ka apna ghar hai apnimilkiyat inhe rokega kaun.. aur kaun aitraaz karega.. hum log, han zarur jab yeh hum ko pooora loot lenge..



Chota zakhm hai, naasoor ban jaata hai dard deta hai , aur dikhne mei bura bhi lagta hai.. lekin paida humare aapke he zariye hota hai..!



Aaj dekho apne aas paas toh sharm aayegi shayad he he hum sab logon mein koi bhi aisa mil jaye jo currupt na ho, ek cheez se khud ko agar bacha bhi lete hain toh dusre mein involved hain..!



Baat gaur karke scocho..Pappu, guddu, raju, bablu sab humare andar hain.. aur curruption humare ghar ki char deewari mei palta hai aur panpta hai woh baat alag hai ki jab bada ho jata hai toh humare ghar se bahar nikal ke pure samaaaj mei beemari ki tarah phel jata hai..!



With Due respect to the efforts put in by a lot of people around the country to make the state kneel recently..

BUT

Think who are we up against? or Who should we rather target?

Is it the corrupt people or the corruption itself , I am sure most of us know what the Answer is!!