Ek Parinda assman tak ta hua
Hawa ka rukh dekhta
Aur sans leta hua
Kahan le jaye hawa
Aur kahan jana hai
Yeh sochta hai ki waqt kahan
Aur khud woh kahan
Kyun sochte yeh pal woh barbad kare
Aaap ud jana bhi toh
Us ki ek fitrat hai
Phir hawa ka intezar kya
Aur shouq kise
Udna he toh niyat se hai
ude kyun na woh
Kyun dekhe hawa ka rukh
Aur kyun phir intezar kare
Apni marzi ka
Jab khud woh malik hai
Phir kya aaas use
Aur ummed kahan
Woh toh jeeta hai
Khud he ke sahare jaise
Udta aasman mei
Sath apne khwab liye
Kyun ruke woh
Kyun subah ka intezar kare
Khuda ka shukr hai
Agar hawa bhi nahi kahin to kya?
Agar sans bhi na le paye toh kya?
Hawa chali nahi par
Hosle toh baaqi hain
Jo par diye khuda ne udne ko
Woh par abhi kate toh nahi
Kyun na ud jaye woh
Aur kyun na woh parwaz kare
Aur kare aashiyan aasman ko
Aur us badal ko
Jake paar kare
No comments:
Post a Comment